Friday, March 6, 2009

kabhi aati hai khamoshi
se chupkay se
sargoshi se
andheri raat main
bheegi barsaat main
kabhi weeranay main
kabhi anjanay main
kabhi mehfil main
kabhi tanhai main
kya khabar kyn aati hai
yeh waqt ke
kis wajah se kis ke liye
kis ki khatir
kis ke liyey
kya batanay
yeh kya hai
ek ehsaas hai
ek piyas hai
phir bhi acchi lagti hai
anjani si
baygani si
pehchani si
ek khoobsurat yaad


दोस्ती दुनिया की वो ख़ुशी है,
जिसकी ज़रूरत हर किसी को हुई है,
गुजार के देखो कभी अकेले ज़िन्दगी,
फिर खुद जान जाओगे के दोस्ती के बिना ज़िन्दगी भी अधूरी है.
 कीसी का दिल तोड़ना हमारी आदत नहीं
कीसी का दिल दुखाना हमारी फितरत में नहीं
भरोसा रखना हम पर तुम
दोस्त कह कर कीसी को यूँ ,हम बदलते नहीं
 हर ख़ुशी दिल के करीब नहीं होती,
ज़िन्दगी गमो से दूर नहीं होती,
ये दोस्त मेरी दोस्ती को संभल कर रक,
सच्ची दोस्ती हर किसी को नसीब नहीं होती.
 तेरी दोस्ती हम इस तरह निभाएंगे तुम रोज़ खफा होना
हम रोज़ मनायेंगे पर मान जाना मनाने से
वरना यह भीगी पलकें ले के कहा जायेंगे.
 इतना प्यार पाया है आप से..
उस से ज्यादा पाने को जी चाहता है.
नजाने वो कौन सी खूबी है आप में.
की आप से दोस्ती निभाने को जी चाहता है...
दोस्ती नाम नहीं सिर्फ़ दोस्तों के साथ रेहने का..
बल्की दोस्त ही जिन्दगी बन जाते हैं, दोस्ती में..
जरुरत नहीं पडती, दोस्तों की तस्वीर की.
देखो जो आईना तो दोस्त नज़र आते हैं, दोस्ती में..
येह तो बहाना है कि मिल नहीं पाये दोस्तों से आज..
दिल पे हाथ रखते ही एहसास उनके हो जाते हैं, दोस्ती में..
नाम की तो जरूरत ही नहीं पडती इस रिश्ते मे कभी..
पूछे नाम अपना ओर, दोस्तॊं का बताते हैं, दोस्ती में..
कौन केहता है कि दोस्त हो सकते हैं जुदा कभी..
दूर रेह्कर भी दोस्त, बिल्कुल करीब नज़र आते हैं, दोस्ती में..
सिर्फ़ भ्रम है कि दोस्त होते हैं अलग-अलग..
दर्द हो इनको ओर, आंसू उनके आते हैं , दोस्ती में..
ओर एक ही दवा है गम की दुनिया में क्युकि..
भूल के सारे गम, दोस्तों के साथ मुस्कुराते हैं, दोस्ती में 

Saturday, February 28, 2009

Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraani lagti hai Teray meray ishq ki baat ab faqt kahani lagti hai Ban ke lahu
takh leeq miri ki ragh ragh men woh behti hai Larki jo naadaan kabhi ,kabhi bahut siyaani lagti ha Eik ahad par main ne guzaari tanha apni umr tamaam Aaj koyi soche to shaayad bahut hairaani lagti hai Kehnay ko gar na ho kuch to daal do paychedgi kay khum Jo baat samajh na aayay yahaan woh baat ruhaani lagti hai Us se barh kar bhi haseen hongay "ANIL" magar Achi itni phir kyun mujhko woh mar jaani lagti hai

Tuesday, February 24, 2009


Wafa ruswa nahi karna… Suno aisa nahi karna Mai pehle hi akela hu Muje tanha nhi karna, Judai aa b jaye to Ye dil chota nhi karna Bohat musroof ho jana Muje socha nhi karna, Barosa b zarori hai Magar sub ka nhi karna Muqadar to muqadar hai kabi shikwa nahi karna Meri takmeel tum se hai muje adha ni karna suno aisa soocha nahi kerna.

Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine, teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine, jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi, apne maathe ki woh tehreer mita li meine, har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai, teri chaahat mein to umr bita li meine, ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu, teri yaadon se har ek saans saja li meine, jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha, bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine…

Friday, February 6, 2009


Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.Din Raat Daudti Duniya Mein,Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Lori Ka Ehsaas To Hai,Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi.Gairon Ki Kya Baat Karen,Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,Par Sone Ka Waqt Nahi.Dil Hai Gamon Se Bhara ,Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,Iss Zindagi Ka Kya Hoga,Ki Har Pal Marne Walon Ko,Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.....